1) chalo tum kuch aisa karo
chand say thori miti lao
phir iss kay do butt banao
aik tum jaisa. aik mujh jaisa
phir tum kuch aisa karo inn button ko tor do.
phir say matti ghoond lo.
phir es say do butt banao.
tum main kuch kuch main reh jaoon. mujh main kuch kuch tum reh jao
2) usnay kaha mujh say kitna piyar hai.
mainay kaha sitaron ka bhee koe shumaar hai
usnay kaha kon tumhain hai bahut aziz
mainay kaha dil par jis ka iktiyar hai
usnay kaha konsa tohfa hai tumhain pasand
mainay kaha woh sham jo ab tak udhar hai
3) jo bhee ghar say jata hai
yeh keh kar hee jata hai
dekho, mujh ko bhool na jana
main phir lout kay aoonga
dil ko achhay lagnay walay
lakhon tohfay laoonga
naye naye logon kee batain akar tumhain sunaoonga
lakin ankhain thak jati hain
vo vapis nahin aata hai
log bahut hain aur vo akaila
un main gum ho jata hai
4) aj phir us ka fone aaya hai
aaj phir poocha kaisya ho
kia kartay rehtay ho
kia ab bhee awara phirtay ho
ya chain say ghar may rehtay ho
kia abh bhee kisi kee yaad main khoy khoy rehtay ho
kaghaz kalay kartay ho
kia ab bhee kisi ko insha gee kee
nazmain aur geet sunaya kartay ho
aaj phir uska fone aaya hai
aj phir poocha kaisay ho
5) gham kay sanjog achay lagtay hain
mustakil rog achay lagtay hain
koee wada wafa naa kar kay mujhay
bewafa log achay lagtay hain
chand say thori miti lao
phir iss kay do butt banao
aik tum jaisa. aik mujh jaisa
phir tum kuch aisa karo inn button ko tor do.
phir say matti ghoond lo.
phir es say do butt banao.
tum main kuch kuch main reh jaoon. mujh main kuch kuch tum reh jao
2) usnay kaha mujh say kitna piyar hai.
mainay kaha sitaron ka bhee koe shumaar hai
usnay kaha kon tumhain hai bahut aziz
mainay kaha dil par jis ka iktiyar hai
usnay kaha konsa tohfa hai tumhain pasand
mainay kaha woh sham jo ab tak udhar hai
3) jo bhee ghar say jata hai
yeh keh kar hee jata hai
dekho, mujh ko bhool na jana
main phir lout kay aoonga
dil ko achhay lagnay walay
lakhon tohfay laoonga
naye naye logon kee batain akar tumhain sunaoonga
lakin ankhain thak jati hain
vo vapis nahin aata hai
log bahut hain aur vo akaila
un main gum ho jata hai
4) aj phir us ka fone aaya hai
aaj phir poocha kaisya ho
kia kartay rehtay ho
kia ab bhee awara phirtay ho
ya chain say ghar may rehtay ho
kia abh bhee kisi kee yaad main khoy khoy rehtay ho
kaghaz kalay kartay ho
kia ab bhee kisi ko insha gee kee
nazmain aur geet sunaya kartay ho
aaj phir uska fone aaya hai
aj phir poocha kaisay ho
5) gham kay sanjog achay lagtay hain
mustakil rog achay lagtay hain
koee wada wafa naa kar kay mujhay
bewafa log achay lagtay hain